नाना जी की बगिया अच्छी खासी थी.. हर साल दो साल बाद कोई शादी ब्याह लगा रहता था..हंसी ख़ुशी गहमा गहमी का माहोल जमा ही रहता.. ऐसे ही किसी एक आयोजन की बात है.. रात के खाने के बाद गाने की महफ़िल जमी.. एक एक कर सब की बारी आयी.. अब बारी हमारे सुन्दर सजीले मौसा जी की थी.. उम्मीद थी कि बहुत मान- मनुहार करवाएंगे.. उनकी आवाज़ सुन ने को हम सब लालायित रहते.. एक तो बोलते कम थे , दुसरे उनकी बोल चाल में लखनवी अंदाज़ हमारे देलही- देहरादून वासियों के कानों में बाम कि तरह का काम करता.. सो हम तो मान मुनव्वल को भी तैयार थे.. परन्तु यह क्या..मौसा जी हमारे तो एक बार के आग्रह में ही मान गए..हम सांस रोके उनका गाना सुन रहे थे..
" चाँद आहें भरेगा फूल दिल थाम लेंगे
हुस्न की बात चली तो, सब तेरा नाम लेंगे....".
उनकी आवाज़ में वो खनक , वो करारापन था कि हम सब मुग्ध हो उन्हें सुनते रहे.. हमारी निहायत ख़ूबसूरत मौसी जी मंद मंद मुस्कुरा रही थीं.. मौसा जी भी बीच बीच में उन्हें देखकर मुस्कुरा देते थे.. कोई 60s कि फिल्म चल रही हो जैसे.. यह गाना चाहे जिस फिल्म का रहा हो.. चाहे जिसने भी गाया हो..उस दिन से इस गाने को एक चेहरा मिल गया था.. मौसाजी का चेहरा.. उसके बाद तो जब जब भी यह गाना सुना, लगता कि मौसा जी गा रहे हैं..
आज मौसा जी हमारे बीच नहीं हैं.. मौसी हमारी मौन हो चुकी हैं.. बिलकुल पत्थर सी.. जहां बैठा तो बैठ गयीं.. सिर्फ शरीर भर रह गया है चुकने को .. आत्मा उनकी मौसाजी अपने साथ ले उड़े.. कभी कभी अपनी ही धुन में मंद मंद मुस्कुरा देती हैं . मौसा जी को गाता देख रही हों जैसे .. उनकी आवाज़ उनके कानों में गूंजती हो शायद अब भी....
." चाँद आहें भरेगा फूल दिल थाम लेंगे,
हुस्न की बात चली तो सब तेरा नाम लेंगे........." Poonam Dogra
Nana ki phulwari achchi khasi thi.. har saal do saal baad koi shadi byah laga rehta tha..Aise hi kisi kisi function ki baat hai.. raat ke khaane ke baad gaane ki mehfil jamee.. ek ek kar sab ki baari lagi thi.. kisi ne sur mein gaya , koi besura tha.. ab baari hamare sundar sajeele mausa ji kit hi.. ummeed kam thi ki we kuchh sunayenge.. .. unka bolne ka andaaz lakhnavi tha.. bahut adab wala.. agar who kisi ko gaali dete ,to bhi lagta ki puchkar rahe hain.. waise kabhi koi abhadra bhasha unke muh se suni na thi.. yeh to hamara andaza hai.. awaaz mein ek khanak thi unki.. to ab baari unki ayee.. hamein lagaa bahut manuhaar karni padegi.. par nahee..
baari aatey hi unhon ne gana shuru kiya..
"Chand aahen bharega, phool dil thaam lenge
husn ki baat chali to, sab tera naam lenge..."
unki awaaz mein who khanak, who karara pan tha ki hum sab mugdh ho unhe suntay rahe.. hamari nihayat khoobsoorat mausi, mand mand muskura rahi theen.. mausa ji beech beech mein unhe dekh kar muskura dete thay .. koi 60s ki film chal rahi ho jaise.. yeh gana chahe jis film ka raha ho, chahe jisne bhi gaya ho, hamare liye to us gaane ko ek chehra mil gaya tha.. itne varsh ho gaye, jab bhi yeh gana kaano mein padaa lagta hai, mausa jig a rahe hain..
aaj mausa ji hamare beech nahee hain.. mausi hamari maun ho chuki hain..bilkul patthar si ..jahaan baitha do waheen baith jayengi.. lagta hai iss duniya ki nahee raheen ab.. atma unki mausa ji apne saath le ude.. bas shareer bhar reh gaya hai chukne ko.. kabhi kabhi mand mand muskura deti hain apni hi dhun mein.. mausa ji ko gaata sun rahi hon jaise.. unki awaaz unke kaanoN mein shayad goonjti ho ab bhi...
"Chand aahen bharega, phool dil thaam lenge h
usn ki baat chali to sab tera naam lenge..".
In memory of Harikesh Mausa Ji.. God bless his soul wherever he is......Poonam Dogra
Please Leave A Comment.. Thank You..
ReplyDeletewhat description. Great.
ReplyDeleteThanks Sanjiv Sood ji for visiting my blog..
Delete